Tag Archives: Thodi Jagah Song lyrics (Rashmi Virag)

Thodi Jagah Song lyrics (Rashmi Virag)

Thodi Jagah Song lyrics

Written by: Rashmi Virag

 

 

Thodi Jagah Dede Mujhe

Tere Paas Kahin Reh Jaaun Main

 

Khamoshiyan Teri Sunu

Aur Door Kahin Na Jaaun Main

 

Apni Khushi Deke Main Tujhe

Tere Dard Se Jud Jaaun Main

 

Mila Jo Tu Yahan Mujhe

Dilaun Main Yakeen Tujhe

Rahun Hoke Tera Sada

Bas Itna Chaahta Hu Main

 

Thodi Jagaah Dede Mujhe

Tere Paas Kahin Reh Jaaun Main

 

Khamoshiyan Teri Sunu

Aur Door Kahin Na Jaaun Main

 

Hoon Besahara Tere Bina Main

Tu Jo Na Ho Toh Main Bhi Nahi

 

Dekhun Tujhe Yaara Jitni Dafa Main

Tujhpe Hai Aata Mujhko Yakeen

Sabse Main Juda Hoke Abhi

Teri Rooh Se Jud Jaaun Main

 

Mila Jo Tu Yahan Mujhe

Dilaun Main Yakeen Tujhe

Rahun Hoke Tera Sada

Bas Itna Chaahta Hoon Main

 

Thodi Jagaah Dede Mujhe

Tere Paas Kahin Reh Jaaun Main

 

Khamoshiyan Teri Sunu

Aur Door Kahin Na Jaaun Main